ऑनलाइन बिजनेस कैसे शुरू करें? online business without much investment | Earnkaro Online
Credits: some video clips by cottonbro from Pexels

Affiliate marketing video: https://youtu.be/ZUqgFB3-K3M
1. Social media consultant
Agar aap Social media content banaane mein kaafi acche hai to ye business aapke liye hai. Kya aapne kaafi social media marketing kiya hua hai? To aap consulting business ke zariye accha paisa bana sakte hai. Kaise? aaiye bataata hu.

Doston dekhiye jo badi companies hoti hai wo kisi agency ko ya kuch individuals ko hire karte hai apne social media accounts run karne ke liye lekin jo chote businesses hote hai na unko to apne social media marketing khud hi handle karne hote hai. Kaafi to karte bhi nahi hai. To aapke paas accha mauka hai ki aap in chote businesses ko approach karke inko apni services dene ka try kare. Dekhiye chote business owners kaafi saare kaam khud karte rehte hai, to wo kaafi busy rehte hai. To wo is baat se bhi bekhabar reh sakte hai ki social media presence ka kya importance hai. Unko ho sakta hai ki pata na ho ki kaise ek badhiya social media strategy se unka business grow ho sakta hai. TO aapko ye baat unko samjhani padegi. Ab ye aap par depend karta hai ki aap kitni acchi tarah se samjha sakte hai.

Aap unko samjhaiye ki bhale hi unka business chota hai lekin badhiya tactics, regular content ke zariye wo apne target audience tak aasaani se pahuch sakte hai. Doston is business mein aapke client ke followers jitne badhenge utna hi aapka business bhi. Kyunki phir aapko naye clients aasaani se mil sakte hai.

Facebook, instagram jaise sites par bahut badi audience hai jiska andaaza kaafi saare chote business owners ko nahi hota.

2. Online tutoring business
Doston kaafi log classes to jaate hai lekin unko wahan par ho sakta hai ki phir bhi samaj mein thik se aata na ho. Kya aap mein wo skill hai jisse aap logon ko cheezein acche se explain kar sakte ho? Kya aapko kisi subject mein badhiya experience aur knowledge hai, to aap apne is knowledge aur experience ko online tutoring business mein use kar sakte ho. Ji haan. Kaafi saare online sites hai jahan par aap apni ye services provide kar sakte ho aur paisa kama sakte ho.

3. Digital content
Doston jo maine tutoring ka business bataya usme to aap online classes ya sessions lenge lekin ye digital content ka jo business hai ye alag hai. Isme aap content pehle se create karke rakhoge jaise videos, pdfs, ya images aur use kisi site par download karne ke liye daaloge. For example aap ek video series bana sakte ho jisme aap kuch sikha rahe ho. Chahe wo koi subject ka topic ho ya koi aur training de rahe ho. To aap is series ko kisi famous website par ya phir agar aapki khud ki website famous hai to us par download ke liye daal doge. Aur download karne ke liye user ko pay karna padega jo bhi price aapne set kiya hai apne content ke liye. Lekin doston aapka content kaafi acche se set kiya hona chahiye aur price bhi reasonable hona chahiye.

4. Technical writing
Kuch hi aise writers hai jinka background technical hai. Technial writers kisi product ke baare technical communication likhte hai jaise kisi machine ka instruction manual ya aur bhi content jaise reports, business proposal, product descriptions, press releases etc.